Thursday, 27 November 2014

Main tu maqtal mein bhi qismat ka sikandar nikla



Main tu maqtal mein bhi qismat ka sikandar nikla

Qura e faal meray naam ka aksar nikla

Tha jinhein zaam wo daria bhi mujhi mein dobay

Main sahira nazar ata tha sumandar nikla

Tu osi din haar gia tha meray buzdil dushman

Main tanha k muqabil jab tera lashkar nikla

Shahir waloon ki muhabat k qail hon magar

Main ny jis haath ko bhi choma wohe khanjar nikla

tu yahein haar gaya hai mere buzdil dushman

mujh se tanha ke muqaabil tera lashkar nikla

mein ke sehra e mohabbat ka musafir tha FARAZ

aik jhoonka tha ke khushbu ke safar par nikla.
.


No comments:

Post a Comment