Wednesday, 26 November 2014

Yehi Zindagi ka ussol hai,

Yehi Zindagi ka ussol hai,
 jo bichar gaya ussy Bhool ja, 
jo mila hai Dil se laga ke rakh,
 Jo nahi mila ussy Bhool ja, 
Na wo Dhoop tha na wo Chandni, 
Na Chirag tha Na wo Roshni,
 Wo Khayal tha koi Khuwab tha, 
wo tha Aaina ussy Bhool ja, 
wo jo tery Dil ke Qareeb tha, 
wo na jany kis ka NASEEB tha, 
tujhe Hans ke usny Bhula dia,
 tu bhi Muskura kar ussy BHOOL ja…

No comments:

Post a Comment